Sunday, 13 December 2015

Kiyokar na rahe hum ko bahatter ki wafa yaad

1. Zahra ne hame de ke dua dil se kiya yaad
Har saans ke ho saath, hamein karbo bala yaad

2. Sar de ke har ek haal me islaam bachaya
Kiyokar na rahe hum ko bahatter ki wafa yaad

3. Bhatke na kabhi raah se hargiz yeh musalmaan
Har subah agar uth ke kare karbo bala yaad

4. Ek aan me maula mere taqdeer badal de
Aajaye kisi dil ko agar hur ki adaa yaad

5. Abbas ki aamad pe la'ee is liye bhage
Siffeen ke maujood ko aayee thi wegaa yaad

6. Aashoor guzarne do yeh elaane fatah hy
Jab hogi azaa'n aayegi akbar ki sada yaad

7. Har qaum ke afraad tadap jate hy sun kar
Aata hy jo asgar ka gala ran me chida yaad

8. Zainab ki amanat hy ise gaur se sun lo
Rakhna hy hamein majliso matam ki binaa yaad

9. Aanso se rawa hota hy ek khoon ka darya
Zainab ko jo aajati hy dushman ki daga yaad

10. Bartaao se zalim ke na kiyo khauf zadah ho
Zindaan me aati hy sakina ko jafa yaad

11. Badle ki badi aas liye baithe hain maula
Rote hy bahut aati hy zalim ki jafa yaad

12. Zeeshan azab hy yeh ibadat ka saleeqa
Sarwar ne kiya sajda zamane ko raha yaad

Zahoor ke baad - imame zamana a.s

💝   💝   💝   💝   💝
Yaqin hai mere maula tere
zohoor ke bad,
Jhukegi qadmon pe duniya
tere zohoor ke bad,

Dua zohoor ki karte hain har
namaaz ke saath,
Karenge shukr ka sajda tere
zohoor ke bad,

Abhi to baqi hai Abbase
bawafa ka jihad,
Banega jang ka naqsha tere
zohoor ke baad,

Na jaane kab se hai kala libas pahne hue,
Sajega khanaye kaaba tere
zohoor ke bad,

Dukaan khul nahin sakti kisi
bhi mufti ki,
Chalega bas tera fatwa tere
zohoor ke baad,

Lahad me soye hue hain jo
gasibane fidak,
Unhen bhi uthna parhega tere zohoor ke bad,

Hai muntazir ye gulamaane
hazrate Mukhtar(a.s.),
Karenge zulm pe hamla tere
zohoor ke baad,

Wo bach gaye the jo Mukhtar(a.s.) k zamane me,
Hisab unka bhi hoga tere
zohoor ke bad,

Bujhi nahi hai zamane se
zulfiqar ki pyaas,
Bahega khoon ka dariya tere zohoor ke baad,

Ali(a.s.)ki tegh ko naslon ki
jankari hai,
Yeh faisla bhi to hoga tere
zohoor ke baad,

Abhi toh sayyade Sajjad (a.s.) muskaraye h'n,
Khushi manayengi zahara tere zuhoor ke baad,

Usi ko shan se jine ka hoga
haq FAKHRI,
Jo ya HUSAIN(A.S.) kahega tere zohoor ke baad,

Furat chhini thi gazi ne jiske
saye me,
Khulega fir wo farehra tere
zohoor ke baad.