Thursday, 11 June 2015

Saying of imam a.s

Maula Ali as Farmate Hai :-
Aap Achcha Karo Zamana Aapko Bura Kahe Ye Aapke Liye Achcha Hai Bajaye Iske Ki Aap Bura Karo Aur Zamana Aapko Achcha Kahe.

Reference By :-Nehjul Balagha

Send By WhatsApp Group :-
QAUL-E-MASOOMEEN (A.S.)

Imam Ali (as):

Kam baat (bolna) aibo'n ko chhipa deti hai aur gunaaho'n ko kam kar deti hai.

Tajalliyate Hikmat.

PARDA!

Be Parda aurat ki misaal aisi hey jaise wo mere qatal ki sazish mein malawas ho

(Hazrat Imam Ali a.s)

Be Parda aurat Allah ke nazdeek koi izzat nahi rakhti

(Hazrat Imam Ali a.s)

Aurat ke liye sab se behtar ye baat hey ke na uss ki nazar kisi ghair mard par pare, aur na kisi ghair mard ki nazar uss par pare

(Hazrat BiBi Fatima a.s)

Aurat ki Be Pardagi mard ki be hayai ka sabut hai

(Hazrat BiBi Fatima a.s)

Mard ki ghairat ka andaza uss ki aurat ke Parday se lagaya jata hai

(Hazat Imam Hasan a.s)

Aisa shakhs meri Dadi Syeda Fatima (s.a) par rota acha nahi
lagta jo apni betiyon aur behano ko chadar (Parday) ke baghair nikalne ki ijazat de

(Hazrat Imam e Zamana a.s)

Jo logon Ka peshwa Banta hai Toh usay Doosron Ko Taaleem dene Se Pehle Apne Ko Taaleem Dena Chahiye , Zaban Se Darse Akhlaq Dene Se Pehle Apni Seerat wa kirdaar Se Taaleem Dena Chahiye. Aur Jo Apne Nafs Ki Taalim Wa Tadeeb Kr Le , woh Doosron Ki Taaleem Wa Tadeeb Krne Waley Se Jiyada Ahtiraam Ka Mustahaq Hai.

जो लोगों का पेशवा बनता है उसे दूसरों को तअलीम देने से पहले अपने को तअलीम देना चाहिए , और ज़बान  से दरसे अख़्लाक़ देने से पहले अपनी सीरत व किरदार से तअलीम देना चाहिये। और जो अपने नफ़्स की तअलीम व तादीब कर ले , वह दूसरों को तअलीम व तदीब करने वाले से ज़ियादा एहतिराम का मुस्तहक़ है।

Nahjul Balagha

Aqwal No :- 73 ,Page no 704 (hindi).

Imam Ali (as):

Baatein KAM aur Amal ZYADA bahut badi fazilat hai jab ke Amal kam aur batein zyada karna bad-tareen baat hai. 

(Meezan ul Hikmah, v7).

Hazrat ALI (A.S):

Sirf Paise Ka Hona RIZQ Nahi He,

Naik Aulad, Acha Ikhlaq Or Mukhlis Dost Bhi Behtreen Rizq Me Shamil Hain.

Imam Sadiq (as):

Jo bhi amaanat tumhare paas hai, usay uske maalik ko lauta do, chaahe uska maalik Imam Husain (as) ka qaatil kyon na ho.

(Mishkaat ul Anwaar, Hadees No.245)

Imam Sadiq (as):

Jiske Akhlaaq (Morals) bigadne lage to uske daahine kaan (Right Ear) mein AZAAN kaho. 

(Meezan ul Hikmah, v1)

Imam Ali (as)

GHAM aadha budhapa hai.

(Nahjul Balagha)

Wednesday, 10 June 2015

DIABETIES ka ilaaj

Dr. Priti Dave

        शुगर का इलाज"
        (DIABETIES)

१-लहसुन छिला हुआ 25 gm
२-अदरक  (ताज़ा) 50 gm
३-पुदीना fresh 50 gm
४-अनारदाना खट्टा 50 gm

इन चारों चीज़ों को पीस कर चटनी बना लें।
और सुबह, दोपहर और शाम को एक-एक चम्मच खा लें।
पुरानी से पुरानी शुगर, यहाँ तक कि शुगर की वजह से जिस मरीज़ के जिस्म के किसी हिस्से को काटने की सलाह भी दी गयी हो तब भी ये चटनी बहुत फायदेमंद इलाज है।
अगर हो सके तो इसे आगे भी फॉरवर्ड कर दें।
क्या पता किसी ज़रूरतमंद को वक़्त पर मिल जाये।
"शुक्रिया"

Tuesday, 9 June 2015

Imam zamana a.s ki shaan me

Gar ho meri hayat meray ikhtiyar mein,
Sadiyan guzaar doon ga teray intizaar mein;
Maula (ajf) ab ap parda-e-ghebat uthayye,
Do (2) din tau zindagi kay guzaroon bahar mein."
Sadiyan bhari hain yun tau meri aankh mein, magar,
Chubhta hai aik lamha bhi ab intizar ka;
Har baar chaand dekh kay maangi hai yeh dua,
Yeh maah akhri ho teray intizar me