Tuesday, 9 June 2015

Imam zamana a.s ki shaan me

Gar ho meri hayat meray ikhtiyar mein,
Sadiyan guzaar doon ga teray intizaar mein;
Maula (ajf) ab ap parda-e-ghebat uthayye,
Do (2) din tau zindagi kay guzaroon bahar mein."
Sadiyan bhari hain yun tau meri aankh mein, magar,
Chubhta hai aik lamha bhi ab intizar ka;
Har baar chaand dekh kay maangi hai yeh dua,
Yeh maah akhri ho teray intizar me