Wednesday, 25 February 2015

Aurat aur shauher - husband and wife

WILADAT JANABE ZAINAB BINTE ALI IBNE ABI TALIB (as)
5th day, 5th Month, 5 AH

AURAT:
Aurat mardon ki ghulam nahi hai. Aurat ka Islam mein ek waqar hai. Bahut zyada fazilat hai. Aurat ko hijab mein rakhne ka ye matlab nahi k woh mazloom hai. Nahi woh hijab mein rahkar bhi azad hai. Koi bhi qeemti cheez ko cover kar ke rakha jata hai. Quran ko juldan mein. Heere ko pack mein. Sone ko uske set mein. Taufee cover hai ya khana cover hai to koi bhi admi khayga warna khula hue khane ko chhoega nahi. Ba ezzat, sharif log zyada tar ghar mein hote hain. Sadak chhap logo ki koi izzat nahi hoti. Jis ko dekha nahi woh nayab gauhar hoti hai, jo har waqt hamare liye zahir hoti hai hasbe maamool ho jati hai.

Aurat k 3 stage hote hain. (1) Beti (2) Biwi (3) bawaqar Maa

Beti ki muhafiz uski maa, biwi ka muhafiz uska shauhar, Maa ka muhafiz uske bete/betiyan.
Is tarah Islam mein rap ka sawal hi nahi.

Aurat ki fazilat hai uska taqwa.

Kuchh HADEESEN:

Imam Kazim (as):
"Rasule Khuda (saww) ne farmaya ke jaise ek shakhs ka IMAAN badhta hai, uski nazar me aurato'n (ladies) ki izzat badh jaati hai."
(Kashkol)

Rasule Khuda (saww):
"Allah la'nat kare oos Aurat par jo Mardo'n jaisa libaas pahenti hai aur oos Mard par jo Aurato'n jaise libaas pahenta hai."
(Tuhaf ul Uqool)

Rasule Khuda (saww):
"Allah ko aurato'n ki sabse zyaada wo Namaz pasand hai jo wo apne ghar ke sabse andhere (darkest) hisse mein padti hai."
(Nahjul Fasaha, Hadees No.2103)

BETI:
Rasule khuda(saww):
"Jo shakhs apni beti ki shaadi aise aadmi se kare jo mazhab ka paaband NAHI HAI, to usne yaqeenan apni beti ke saath QAT-E-RAHEM kiya aur uske saath taallukat KAAT diye."
(Kashkol Book2, Pg52)

Rasule Khuda (saww):
"Meri Ummat ki AURATO'N ki tabaahi in do cheezo'n mein hai: SONA (GOLD) aur BE-HAYAA KAPDE, aur MARDO'N ki in do mein hai: ILM KO CHHODNA aur MAAL JAMAA KARNA."
(Anecdotes of Reflection)

Imam Sadiq (as): ne ek aurat se kaha "Kya tu chaahti hai ke tere chehre ki raunak laut aaye to Khana pet bhar kar NA khaya kar. Zyada khana chehre ki raunak bigaad deta hai."
(Tehzibul Islam)

BIWI:
Rasule khuda(saww):
"Kisi shaadi-shuda ki 2-rakat namaz, ek gair shaadi-shuda ki raat bhar ki ibaadat aur 1 din ke roze se behtar hai." (shiarightpath.quran 24:32)

Rasule khuda(saww):
"Agar koi shakhs apni Biwi ko takleef de to Allah Qayamat ke din uski haddiya'n todd dega aur gardan ke pichhe haath baandhkar Dozakh me daal dega."
(Sawaabul Aamaal & Iqaabul Aaamal)

Rasule khuda(saww):
"Agar koi apni Biwi ko itna sataaye ke biwi Mahr lautakar khud ko azaad karna chaahe, to Allah Shauhar ke liye Jahannum pasand karega."
(Sawaabul Aamaal & Iqaabul Aaamal)

Rasule khuda(saww):
"Jab tak BIWI Shauhar se wo cheez maange jo wo Afford nahi kar sakta, Allah uske oon Aamaal ko qubool NAHI karta jo usay Dozakh se bachaaye."
(Sawaabul Aamaal & Iqaabul Aaamal)

Rasule khuda(saww):
"Agar koi aurat 5 waqt ki namaz ki paaband hai, Mahe Ramzaan ke roze rakhti hai, paak-daaman hai, aur apne shauhar ki naa-farmani nahi karti, to oos se keh do ke jis darwaze se chaahe Jannat mein daakhil ho jaaye. "
(Mishkaat ul Anwaar)

Rasule khuda(saww):
"Jo bhi aurat apne shauhar ko apni zabaan se aziyyat de / dukh pahunchaaye …wo Jahannum me daakhil honewalo me pehli hogi; aur isi tarah wo aadmi jo apni biwi ke saath na-insaafi kare."
(Family Life of Islam)

Rasule khuda(saww):
"Mard ke liye Islam ke baad oos Musalman biwi se badhkar koi NEMAT nahi, ke jise dekhne se khushi haasil ho, shauhar ka hukm maanne wali ho aur uske maujood na hone par uske maal aur izzat ki bachaane wali ho."
(Tanzeemul Makatib)

Rasule khuda(saww):
"…Agar ek aurat 70000 saal Allah ki ibaadat karti hai magar Marte waqt apne Shauhar ki na-farmaan hoti hai (aur uska shauhar oos se raazi nahi tha) to wo Jahannum walo'n ke darmiyaan hogi."
(Family Life of Islam)

Rasule khuda(saww):
"Agar koi Aurat apne Shauhar ko takleef de to uski Namaz aur Nekiyaan qubul NAHI hogi jab tak wo Shauhar ko raazi na kar le."
(Sawaabul Aamaal & Iqaabul Aaamal)

MAA:
Holy Quran:
"Aur aap ke Parwardigaar ka faisla hai ke tum sab Uske alaawa kisi aur ki Ibaadat NA karna aur Maa-Baap ke saath achcha bartaav karna aur agar tumhaare saamne in dono mein se koi ek ya dono buudhe ho jaaye to KHABARDAAR oon se UFF bhi Na kehna aur unhe jhidakna bhi Nahi aur unse HAMESHA sharifaana guftagu karte rehna."
(Surah Bani Israel, Surah 17, Ayah 23

Imam Sadiq (as):
"Apne waaledain ke saath neki karo taaki tumhaar aulaad tumhaare saath aisaa hi kare aur doosro'n ki aurato'n se hayaadari se pesh aao taaki tumhari aurate'n hayaadar rahe."
(A Bundle of Flowers)

AURTON KI AINAE HAYAT JANABE ZEHRA (sa) aur Saniye ZEHRA JANABE ZAINAB (sa)
Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Jo Sawaal karnay men kamzor ho Uss ka ILM bhi kamzor hota hai (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 424, Asool e Kaafi)