Imam Sadiq (AS)
Jo aadmi ye maalum karna chaahta hai ke Allah ki nazro'n me uski kadr o manzelat kya hai to usey pehle ye jaan lena chahiye ke uski nazro'n me Allah ki kya kadr o manzelat hai.
Kyon ki Khuda apne bando'n ko wohi manzelat ataa karta hai jo manzelat bande apni taraf se Khuda ko deta hai.
Allah ne H. Moosa (AS) par wahi farmaayi "Wo shakhs jhoota hai jo meri muhabbat ka daawa to karta hai magar jab raat hoti hai to wo (mujhse bekhabar hokar) sote rehta hai. Kya koi chaahnewala apne mehboob ke saath tanhaai pasand nahi karta.
Ref : Mizaanul Hikmat 2