Monday, 19 January 2015

Sachche Momin

Holy Quran:

Aur KHABARDAAR, Hum ne unme se kuchh logo'n ko jo zindagaani e duniya ki raunaq se maalamaal kar diya hai uski taraf aap nazar uthha kar bhi NA dekhein ke ye unki Aazmaish ka zariya hai aur aap ke RAB ka Rizq oos se kahin zyada behtar aur paaedaar (long-lasting) hai. 

(Surah Ta Ha, Surah 20, Ayah 131)

Imam Sadiq (as):

Rasulullah (saww) ne farmaya - Meri Ummat mein Jannat mein daakhil hone wale zyadatar log Muttaqi (Parhezgaar) aur Achche Akhlaaq wale honge. 

(Al Kaafi, v3)

Holy Quran:

Sachche Momin to bus wohi log hain ke jab (unke saamne) Allah ka zikr kiya jaata hai to unke dil hil jaate hai aur jab unke saamne uski aayatein padhi jaati hai to unke imaan mein izaafa hota hai aur wo log bus apne Rab par hi bharosa rakhte hain, Namaz ko paabandi se adaa karte hain aur jo Hum ne unhe diya hai oos mein se (Raahe Khuda mein) kharch karte hain… inhi ke liye unke Rab ke yahaan bade bade darje hain aur Magferat hai aur ba-izzat ROZI hai. 

(Surah Anfaal, Surah 8, Ayah 2-4).